Wednesday, 29 July 2015

Jo Mujh Se Poocha Aaj Tum Ne













POET; Fakhra-Batool
;
;
Jo Mujh Se Poocha Aaj Tum Ne
Ke Main Tumhara Hoon Kya batao
Tau Khud Hii Socho Tum AiK PaL Ko
BhaLa MaiN Kaise Tumhain Bataoon
Hai Tum Se Mera Wohi Taalluk
Jo Apne Saey Se Hai Shajar Ka
Jo Khurshid Se Hai Qamar Ka
Gulon Se Hota Hai Jo Mehak Ka
KiSSi Kii Aankhon Ke Masst Dauron Se
Uss Ke Mehboob Ki Jhalak Ka
Min Hoon Badan Tau Tum iSS Ki Jaan Ho
Bahar Mausam Ke Trjumaan Ho
Lahoo Ki Soorat Meri Ragon Mein
Haar Aik Lamha Rawan Dawan Ho
Namaz Hoon Mein Tau Tum Aazaan Ho
Zamin Hoon Main Tum Aasmaan Ho
Wohi Taalluk Hai Tum Se Mera
Jo DiL Se Hota Hai Dharknon Ka
Khumar Se Jo Mehkashon Ka
Jo Shaeron Se Mehvashon Ka
Jo Husan Walon Se Dil Jalon Ka
Wohi Jo Sagar Se Sahilon
jo Rooh Se Hai Kissi Badan Ka
Hai Guftagoo Se Kissi Dahan Ka
Jo BaarishonnKa Zamin Se Hai
ibaadatoon Ka Jabin Se Hai
Wohi Taalluk Apne Darmiyan Hai
Tumhi Baharon Ki Dilkashi Ho
Tumhi Tau Aankhon Ki Roshni Ho
Jo Sach Kahon Tum Meri Kushi Ho
Tumhi Aarzoo Tumhi Wafa Ho
Tumhi ARZOO Ho Tumhi Wafa Ho
Tamam Jazbon Kii intiha Ho
Tau Kiyo Naa Tum Pe Yeh DiL Fida Ho
Batao Jaana Hai inta Kaafi!!!
Ke Aur Bhii Tumhain Kuch Bataon
Jo Ho Sake Tau Khayal Rakhna
Tumhara Mujh Se Wohi Hai Rishta
Malaika Se Jo Bandgi Ka
Jo Marne Wale Se Zindagi Ka
Samandaron Se Jo Seep Ka Hai
Wohi Jo Aankhon Ka Deep Se Hai....!

Khiyal Rkhna






















POET; Fakhra-Batool
;
Khiyal Rkhna !
Udasian Besabab Nahi Hotein
Udasion Ka Agar Ye Mausam 
Thehr Giya To Ghazab Karay Ga
Na Je Sako Gay Na Mar Sako Gay
na kaam he koi kar sako Gay
Kisi Ko Har Pal Talab Karay Ga

Udasian Besabab Nahi Hotein
Suno Jo Lamhay Hein Aj Hasal
inhein hamesha sambhal rkhna
Wafa K gulshan mein charon janib
Bahar Rakhna Nikhar Rakhna
Muhabbaton Ka Waqar Rakhna
Udasian Besabab Nahi Hotein
JahaN Mein Kitnay He Log Aye
Rahay, Basay Hein , Ujar Gaey Hein
Magar Ye Jazbay Azal Say Hein Aur
Abad Talak Younhi Rahein Gay
Tum Apni Ankheon Mein Saray Jazbon Ka
Pehlay Jesa He Jaal Rkhna
Udasian Besabab Nahi Hotein
Zara Ye Socho Bichar Gaey To
Kahan Milein Gay
Younhi Rahin Gi Tamam Rahein
Magar Ye Raahi Na Mill Sakein Gay
Bahar Mein Bhi Khizan Ki Sorat
Na Phool Har Simt Khil Skein Gay
Na Dil Ko Apnay Udas Rakhna
Har Jazbay Ka Paas Rahkhan
Milein Gay Akhir Aaas Rkhna
Udasian Be Sabab Nahi Hotein....!

Tuesday, 28 July 2015

Magr Meri Jaan














POET; Farhat Abbas Shah
'
'
Humein Pata Hai Ke Hum Ne Kitna Sambhal Ke Dikha
Nayi Aur Anjaani Rahguzaro Pe Chal Ke Dikha
Hazar Rasta Badal Ke Dikha
Magr Meri Jaan
Har iK rasta Tumhari Janib Paalat Geya Hai
Tamaam Naqsa Ulat Geya Hai
Aur iSS Safar Me Wajood Zakhmo Se Aatak Geya Hai...!

Tumhara Naam















POET; Amjad islam Amjad

Tumhara Naam Kuch Aise Mere Honton Pe Khilta Hay….
Andheri Raat Main Jese
Achanak Chaand Badal Kay Kisi Kone Say Bahir Jhankta Hai
Aur Sare Manzaron Main Roshni Si Phaill Jati Hai
Kali Jese Larazti, Aus Ke Qatre Pahan Ker Muskurati Hai
Badalti Rut, Kisi Maanoos Si Aahat Ki Daali Lay Kay Chalti Hai
Toh Khushboo Baagh Ki Deewar Say Rokey Nahin Rukti
Isi Khusboo Ke Dhage Say
Mera Har Chaak Silta Hay!
Tumhare Naam Ka Taara
Meri Sanson Main Khilta Hay!
Tumhein Mein Dikhta Hoon Jab Safar Ki Saam Se Pehle
Kisi Uljhi Hue Gumnaam C Chinnta Ke Jaadu Me!
Kisi Soche Huwey Bee-Naam Se Lamhey Ki Khusbu Me!
Kisi Mousam Ke Damaan Me, Kisi Khuwasih Ke Pehlu Me!
To iSS Khush Rag Manzar Me Tumhari Yaad Ka rasta Najane Kiss Taraf Se Puhtata Hai
Aur Phir Aesay Meri Haar Raah Ke Hum Raah Chalta Hai
Ke Aankho Me Sataroo Ki GuzrGahey Se Banti Hain
Dhanak Ki Kihkhasaey Si Tumhrai Naam Ke iNN Khushnumaa Haarfo Me Dhalti Hain
Ke Jin Ke LmasSe Honto Pee Jugnu Raksh Karty Hain
Tumhare Khuwab Ka Rasta Meri Neendo Se Milta Hai
To DiL Aabad Hota Hai
Meri Har Jhak Silta Hai
Tumhare Naam Ka Taara
Meri Raaton Main Khilta Hai ….!

Monday, 27 July 2015

Wo Kitni Warfittgi Se Us Ko Sunna Raha Tha













POET; AHMED FARAZ
;
Wo Kitni Warfittgi Se Us K
o Sunna Raha Tha
Wo Sari Batein Wo Sare Qissay
Jo iSsE Milne Se Pehstr
Meri Zindagi Ki Haqiqatein Thi
Main Kih Raha Tha Ke Aur Bhi Log Thay
Jinhein Meri AArzo Thi Meri Talab Thi
Ke Jin Se Meri Muhabatoon Ka Rah-Taluk
Ke Jin Ki Mujh Par AAnayatein Thi
Main Kih Raha Tha Ke iNN Me Kuch Ko To Maine Jaan Se Aaziz Jaana
Magr Be-Dilli Se Sikhyaten Thi
Main Aik Bat AiK juram Ki Kahani
Dahraktay Dil Ka Kampatay Baadan Se Sun Raha Tha
Magr Wo Pathar Banni Mujhe iSS taraha Se Sun Rahi Ke
Jasay Mere Labbo Par Kisi Maqdas Tareen Shafein Ki aayaten Thi....!

Aankhon Ka Bhar Jana Zaroori Tha






















POET; Nazia Kanwal Nazi
;
Bicharte Waqt In Aankhon Ka Bhar Jana Zaroori Tha
Tumhare Bin Mera Chup Chaap Mar Jana Zaroori Tha
Qabal Iske K Donon Badgumani Me Ulajh Jaate
Mere Humdum Mera Tujhse Bichar jana Zaroori Tha
Me Jeewan K Safar Me Hans K Sab Kuch Seh Gaya
Lekin
Jo Tum Bichre To Phrrr Mera Bikhar Jana Zaroori Tha...!



Saturday, 25 July 2015

i MiSSS YOU















Tumhari Yadoo Ka Aik Sitara Aisa Jihlmalata Hai i MiSSS YOU.
Udass Ratoo Me DiL Aakela Tumhein Bulata Hai i MiSS YOU,
Jab iK Yaado Ki Lihr Sare Baadan Ke Mousam Ujarati Hai,
Jab AiK khusbu Ka Teez Jhonka Mujhe Urata Hai i MiSS YOU,
Jab Aashman Par Dahanak Ka Manzar Taamam Rangoo Ke Sat Aay,
To Aisay Aalam Me Naam Tera Laboo Pe Aata Hai i MiSS YOU,
Yeh AiK barish Bhi Meri Aankho ME Tere Aansoo Par Dahri Hai,
Tumhare Baalo Sa AiK badal Bhi Sar-Sihrata Hai i MiSS YOU,
Wo Teri Qurbat Wo Teri Chahat Wo Teri Mohabbat Ka Aik Lamha,
Kabhi Yadoo Ke Sehlo Se Mujhe Bulata Hai i MiSS YOU,
Jab Aik Lamha Tumhari Khusboo Ka Rang Mujh Pe Utarta Hai,
Jab Aik Nasha Sa Tumhara Janib Mujhe Urata Hai i MiSS YOU,
Wo Tere Hansoo Huwey Laboo Se Gulab Jharane Ka Aik Manzr,
Udass Ratoo Main Aub Bhi Mujh Ko Bohat Rulata Hai i MiSS YOU,
Kabhi Jo barish Ki Teez Bondain Tere Tassvar Me Nachati Hai,
To Aisay Aalam Me Tera ORiBABA bhi Gungata Hai i MiSS YOU...!

Tamam Sheher Ko Heraan Karne Wala Hoon














POET; AHMED FARHAD
;
Tamam Sheher Ko Heraan Karne Wala Hoon,
Main Apne Hone Ka Aelaan Karne Wala Hoon,
Kahin Gira Ke Teri Yaad Ka Yeh Kuh-E-Giraan,
Safar Ko Aur Bhi Asaan Karne Wala Hoon,
Yeh Sisilsa Meri Ankhon Pe Hi Nahin Mokoof,
Mein Tera Sheher Bhi Viraan Karne Wala Hoon,
Abhi Woh Morr Nahin Aya is Kahani Mein,
Jab Mein Sab Ko Pareshaan Karne Wala Hoon,
Yeh Kis Ne Raat Mujhe Neend Se Jaga Ke Kaha,
Chiraag-E-Khawab Tujhe Daan Karne Wala Hoon,
Tamaam Umar Kahan Hai Woh Meri Kismat Mein,
Bass Aik Raat Ka Mehmaan Karne Wala Hoon....!

Gale Mila Na Kabhi Chand Bakht Aisa Tha























PoET; SHAKEEB JALALi 
;
Gale Mila Na Kabhi Chand Bakht Aisa Tha,
Hara Bhara Badan Apna Darakht Aisa Tha,
Sitare Siskiyan Bharte The Os Roti Thi,
Fasana-E-Jigar-E-Lakht-Lakht Aisa Tha,

Zara Na Mom Hua Pyaar Ki Hararat Se,
Chatakh Se TuuT Gaya DiL Ka Sakht Aisa Tha,
Ye Aur Baat Ki Wo Lab The Phuul Se Nazuk,
Koi Na Sah Sake Lahja Karakht Aisa Tha,
Kahan Ki Sair Na Ki Tosan-E-Takhayyul Par,
Humein To Ye Bhi Suleman Ke Takht Aisa Tha,
idhar Se Guzra Tha Mulk-E-Sukhan Ka Shahzada,
Koi Na Jaan Saka Saaz-O-Rakht Aisa Tha....!

Kabhi Yun Bhi To Ho


















POET:Javed Akhtar

Kabhi Yun Bhi To Ho,

Dariya Ka Saahil Ho, Poore Chaand Ki Raat Ho
Aur Tum Aaoo,

Kabhi Yun Bhi To Ho,
Pariyon Ki Mehfil Ho, Koi Tumhari Baat Ho
Aur Tum Aaoo

Kabhi Yun Bhi To Ho
Kabhi Yun Bhi To Ho
Yeh Naram Mulayyam Thandi Hawain
Jab Ghar Se Tumhare Guzrain
Tumhari Khushboo Churrayain
Mere Ghar Aayain

Kabhi Yun Bhi To Ho
Kabhi Yun Bhi To Ho
Sooni Har Mehfil Ho, Koi Na Mere Saath Ho
Aur Tum Aaoo,

Kabhi Yun Bhi To Ho
Kabhi Yun Bhi To Ho
Yeh Badal Aisa Toot Ke Barsay
Mere Dil Ki Tarah Milne Ko Tumhara Dil Bhi Tarsay
Tum Niklo Ghar Se

Kabhi Yun Bhi To Ho
Kabhi Yun Bhi To Ho
Tanhaee Ho Dil Ho, Boondain Ho, Barsaat Ho
Aur Tum Aaoo

Kabhi Yun Bhi To Ho
Kabhi Yun Bhi To Ho.....!

Thursday, 23 July 2015

Aa Ke Patthar To Mere Sahan Mai Do-Char Gire





















PoET; SHAKEEB JALALi
;
Aa Ke Patthar To Mere Sahan Mai Do-Char Gire
Jitane Us Ped Ke Phal The Pas-E-Divar Gire
Aisi Dahashat Thi Fazaon Mai Khule Pani Ke
Aankh Jhapaki Bhi Nahi Hath Se Patavar Gire
Mujhe Girana Hai To Main Apne Hi Qadamon Mai Girun
Jis Tarah Saya-E-Divar Pe Divar Gire
Tiragi Chor Gaye Din Mai Ujale Ke Khutut
Ye Sitare Mere Ghar Tut Ke Bekar Gire
Dekh Kar Apane Dar-O-Bam Laraz Uthata Hun
Mere Hamsaye Mai Jab Bhi Koi Divar Gire
Waqt Ke Dor Khuda Jane Kahan Se Tute
Kis Ghadi Sar Pe Ye Lataki Hui Talvar Gire
Hum Se Takara Gai Khud Badh Ke Andhere Ke Chattan
Hum Sambhal Kar Jo Bahut Chalate The Nachar Gire
Hath Aaya Nahi Kuch Rat Ke Daldal Ke Siva
Hai Kis Mod Pe Khwabon Ke Parastar Gire
Kya Kahun Dida-E-Tar Ye To Mera Chehara Hai
Sang Kat Jate Hain Barish Ke Jahan Dhar Gire
Dekhate Kyon Ho ‘ORiBABA’ itani Bulandi Ke Taraf
Na Uthaya Karo Sar Ko Ki Ye Dastar Gire...!

Meri Jaan-E-Jaan Mere Hamsafar Koi Bat Kar Koi Bat Kar














POET; Akhtar Malik
;
Meri Jaan-E-Jaan Mere Hamsafar Koi Bat Kar Koi Bat Kar,
Tere Lab Hilain To Kattey Safar Koi Bat Kar Koi Bat Kar,

Koi Bhoj Hai To Utaar De Koi Khauf Hai To Nikaal De,
Mera Hath Hai Tere Hath Par Koi Bat Kar Koi Bat Kar,
Kabhi Mujh Ko Azn-E-Sawal De Jo Nahin To Lafz Uchaal De,
Tere Lafz Tujh Se Bhi Moat’Bar Koi Bat Kar Koi Bat Kar,
Nahin Yaad Kitne Barass Gaye Teri Guftagu Ko Taras Gaye,
Meri Khirrkiyan Mere Baam-O-Dar Koi Bat Kar Koi Bat Kar,
Kabhi Sath Bhi They Rawaan-Dawaan Bhale Ab Naseeb Hai Darmyan,
Bhale Tu Udhar Bhale Mein idhar Koi Bat Kar Koi Bat Kar,
Tujhe Chup Hai Kesi Lagi Huyi Abhi Umar To Hai Pari Huyi,
Abhi Muskuraa Abhi Gham Na Kar Koi Bat Kar Koi Bat Kar,
Koi Admi Hai Na Wakeel Hai Koi Baam Hai Ke Faseel Hai,
Faqat Aik Mein Faqat Aik Dar Koi Bat Kar Koi Bat Kar....!

Wednesday, 22 July 2015

Mohabbat Tum Ne Kab Ki Hai
















POET; Ayub Khawar
;
Mohabbat Tum Ne Kab Ki Hai
Mohabbat Meine Ki Hai Jane Jaan Tum Se
Tumhare Rung Se,Rango Ki Duniyaa Se
Tumhri Khoobsurat Unsili Si Guftugo Ke Khaas Jadu Se
Tumhare Munfared Lehjay Ki Gehri Dhund Se
Uss Dhund Ke Under Thithertay Jhoot Such Se
Jhoot Such Aur Maslehat Se
Maslehat Ki Sabz Kayee Se
Ke Jiss Kayee Ki Geeli Sard
Satho Per Meri iss Umer Ke Sardar Lamhay Sabt They
Aur Ab Hawa Mein Khawab Ban Ker Ur Rahe Hain
Meri iss Umer Ke Sardar Lamhay
Ab Jinhe Tere Lab O Rukhsar Ki
Aab O Hawaye Sabz Se Bedakhal Ker Dala
Teri Sardmehri Ne
Magar Phir Bhi Najanay Kiu
Yeh Dil Yeh Zard Miti Mein Gundha Dil
Kiu Teri Bemehrioun
Ki Khoj Mein Rehta Hai
Kiu Akhir
Tumhe Maloom Hai
Akhir Yeh Bewakat Sa Dil Ab Bhi
Tumhare Paoun Ki Nakhun Se
Kiu Her Baar Chilta Hai
Tumhe Maloom Hai Jana??????

Pyaar Ka Meetha “Ehsaas” Dilane Laga Hai Tu





















Pyaar Ka Meetha “Ehsaas” Dilane Laga Hai Tu
Ab Ro Mujh Se Mujhi Ko Churane Laga Hai Tu
Teri ChahtooN Ka Chaaya Hai Saroor is Qadar
Har Pal Har Jagah Nazar Aane Laga Hai Tu

Veeraan Thi Yeh Zindgi Tere Aane Se Pehle
Khushiyoon Ke Sapne Mujhe Dhikane Laga Hai Tu
Har Pal Mujhe Hota Hai Bas Tera Hi “Ehsaas”
Is Qadar Meri SaansoN Mein Samaane Laga Hai Tu
Ek Pal Ki Bhi Doori Seh Nahi Paata Hoon Main
Hoke Juda Kyun Mujhe Azmaane Laga Hai Tu
Raah Chalte Hue Aksar Hota Hai Yeh Gumaan
Ke Ban Saaya Saath Mere Aane Laga Hai Tu
Naam Koi Bhi LooN To Naam Aaye Tera LabooN Pe
Ban Ke Jadu Meri Rooh Mein Samaane Laga Hai Tu
Teri Yadoon Se Hi Aksar Hota Hai Dil Munawwar Mera
Ghul Ke Saath Lahoo Ke Nas Nas Mein Samaane Laga Hai Tu
Jaane Kaun Si Dor Hai Teri Aur Kheench Le Jaati Hai
Mujh Ko Apna Deewana Banaane Laga Hai Tu
Tasvvur Mein Aksar Hota Hai Yeh Mehsoos Mujhey
Chorr K Duniya Meri BaNhooN Mein Samaane Laga Hai Tu
Yeh To Bata Ke Kya Naam DooN iss Deewangi Ko
Bechain Kar Ke Har Lamha Mujhey Tadpaane Laga Hai Tu
Tere KhayalooN Se Mehekne Lagti Hai Zindagi Meri
Mere Zehn-O-Dil Pe is Qadar Chhaane Laga Hai Tu
Yeh Masoomiyat Yeh Bholapan Yeh Saadgi Teri
Mujh Ko Har Adaa Se Ab Satane Laga Hai Tu
Zeest Ke RahooN Mein Dhoop Thi Har Taraf
Apney Pyaar Ki Barish Ko Barsane Laga Hai Tu
Kya is Baat Ka Tujhey “Ehsaas” Hai “Jaan”
Mere Har Sher Mein Har Gazal Mein Aane Laga Hai Tu....!

Meri Tanhai Mein Mujh Se Guftagu Karta Hai Kon















POET; AHMED FARAZ
;
Meri Tanhai Mein Mujh Se Guftagu Karta Hai Kon,
TU Nahi Hota To Meri Justaju Karta Hai Kon,

Kis Ka Khanjar Hai Jo Kar Deta Hai Seene Ko Do Neem,
Phir Pashemaani Mein Zakhm-e-Dil Rafu Karta Hai Kon,
Is Kharaabe Mein Bagoola Si Phiray Hai Kisi Ki Yaad,
Is Dayaar-e-Raftagaan Mein Haao-Hu Karta Hai Kon,
Khauf Kis Ka Hai K Apnay Aap Se Chhupta Phiron,
Nagahaan Phir Mujh Ko Meray Ru-Ba-Ru Karta Hai Kon,
Konsa Mausam Chura Leta Hai Ghunchoon Ki Chatak,
Naghma Peraaon Ko Surma Dar Gulu Karta Hai Kon,
Kon Pee Jaata Hai Aakhir Mere Hissay Ki Sharaab,
Main Nahi Hota To Phir Khaali Sabu Karta Hai Kon...!

Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yehi Kaafi Hai


P()ET; Bader Munir
;

;
Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yehi Kaafi Hai,
Dil Dharakta Hai Sahulat Se, Yehi Kaafi Hai,

Haal Dunya Ke Sataye Huye Kuch Logon Ka,
Puch Lete Ho Shararat Se, Yehi Kaafi Hai,

Jo Bhi Raste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se,
Dekhta Hai Teri Nisbat Se, Yehi Kaafi Hai,
Muddat’Ton Se Nahin Dekha Tera Jalwa Lekin,
Yaad Ajate Ho Shidat Se, Yehi Kaafi Hai,
Saari Dunya Se Ulajhte Hain Lekin Tera Kahaa,
Maan Jate Hain Sharafat Se, Yehi Kaafi Hai,
Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-O-Maal Nahin,
Katt Rahi Hai Bari izat Se, Yehi Kaafi Hai,
Aaj Ke Ehd Taghaful Mein Kisi Dar Pe ORiBABA,
Koi Ajaye Zarurat Se, Yehi Kaafi Hai....!

Aankh Ne Raat Jab iK Chaand Mukamal Dekha















POET; TABASSUM SiDDiQUi
;
Aankh Ne Raat Jab iK Chaand Mukamal Dekha,
Phir Samandar Ko Bhi Hote Huye Pagal Dikha,

Raat Bhar Der Talak Ki Teri Batain Khud Se,
Raat Bhar Samane Chehra Tera Pal Pal Dekha,
Aj Yaadon Ki Ghataa Toot Ke Barsi Dil Par,
Aj Hum Ne Bhi Barasta Hu Badal Dekha,
Hafizaa Cheen Liya Hum Se Gham-E-Dunya Ne,
Aj Hum Bhool Gaye Us Ko Jisey Kal Dekha,
Baandh Ke Dekh Li Paayel Bhi Sar-E-Bazm Tarb,
Phir Bhi Behlaa Na Kabhi Dil Ka Ajab Chhal Dekha,
Aik Larki Thi Tabasum! Ke Bohat Hansti Thi,
Us Ki Aankhon Se Bhi Behta Hua Kaajal Dekha....!

Tuesday, 21 July 2015

Pyar Woh Aur Mere Dil Mein Barhaa Deta Hai


POET;Ayub Nadeem
;
Pyar Woh Aur Mere Dil Mein Barhaa Deta Hai,
Kabhi Rota Hai Kabhi Mujh Ko Rulaa Deta Hai,
Kaun Aata Hai Meri Ankhon Mein Jugnu Le Ker,
Khawhishain Kaun Mere Dil mMin Jaga Deta Hai,
Pehle Karta Hai Bare Naaz Se Be-Barg O Samar,
Phir Meri Rooh Mein Phool Woh Khilaa Deta Hai,
Woh Mera Chand Meri Ankhon Se Aujhal Ho Kar,
Ik Sitara Meri Palkon Pe Sajaa Deta Hai,
Us Ki Har Roz Ki Mulaqat Se Dar Lagta Hai,
Roz Milta Hai To ik Zakham Neya Deta Hai,
Apni Qurbat Mein Bhi Rakhta Hai Woh Furqat Ki Fizaa,
Mera Apna Hi To Hai Mujh Ko Sazaa Deta Hai,
Aatish-E-Gham Se Mere Dil Ko Jalaata Hai ORiBABA,
Woh Ajab Shakhs Hai Sholay Ko Hawaa Deta Hai…!