PoET; SHAKEEB JALALi
;
Gale Mila Na Kabhi Chand Bakht Aisa Tha,
Hara Bhara Badan Apna Darakht Aisa Tha,
Gale Mila Na Kabhi Chand Bakht Aisa Tha,
Hara Bhara Badan Apna Darakht Aisa Tha,
Sitare Siskiyan Bharte The Os Roti Thi,
Fasana-E-Jigar-E-Lakht-Lakht Aisa Tha,
Fasana-E-Jigar-E-Lakht-Lakht Aisa Tha,
Zara Na Mom Hua Pyaar Ki Hararat Se,
Chatakh Se TuuT Gaya DiL Ka Sakht Aisa Tha,
Chatakh Se TuuT Gaya DiL Ka Sakht Aisa Tha,
Ye Aur Baat Ki Wo Lab The Phuul Se Nazuk,
Koi Na Sah Sake Lahja Karakht Aisa Tha,
Koi Na Sah Sake Lahja Karakht Aisa Tha,
Kahan Ki Sair Na Ki Tosan-E-Takhayyul Par,
Humein To Ye Bhi Suleman Ke Takht Aisa Tha,
Humein To Ye Bhi Suleman Ke Takht Aisa Tha,
idhar Se Guzra Tha Mulk-E-Sukhan Ka Shahzada,
Koi Na Jaan Saka Saaz-O-Rakht Aisa Tha....!
Koi Na Jaan Saka Saaz-O-Rakht Aisa Tha....!
No comments:
Post a Comment