Tuesday, 28 July 2015

Tumhara Naam















POET; Amjad islam Amjad

Tumhara Naam Kuch Aise Mere Honton Pe Khilta Hay….
Andheri Raat Main Jese
Achanak Chaand Badal Kay Kisi Kone Say Bahir Jhankta Hai
Aur Sare Manzaron Main Roshni Si Phaill Jati Hai
Kali Jese Larazti, Aus Ke Qatre Pahan Ker Muskurati Hai
Badalti Rut, Kisi Maanoos Si Aahat Ki Daali Lay Kay Chalti Hai
Toh Khushboo Baagh Ki Deewar Say Rokey Nahin Rukti
Isi Khusboo Ke Dhage Say
Mera Har Chaak Silta Hay!
Tumhare Naam Ka Taara
Meri Sanson Main Khilta Hay!
Tumhein Mein Dikhta Hoon Jab Safar Ki Saam Se Pehle
Kisi Uljhi Hue Gumnaam C Chinnta Ke Jaadu Me!
Kisi Soche Huwey Bee-Naam Se Lamhey Ki Khusbu Me!
Kisi Mousam Ke Damaan Me, Kisi Khuwasih Ke Pehlu Me!
To iSS Khush Rag Manzar Me Tumhari Yaad Ka rasta Najane Kiss Taraf Se Puhtata Hai
Aur Phir Aesay Meri Haar Raah Ke Hum Raah Chalta Hai
Ke Aankho Me Sataroo Ki GuzrGahey Se Banti Hain
Dhanak Ki Kihkhasaey Si Tumhrai Naam Ke iNN Khushnumaa Haarfo Me Dhalti Hain
Ke Jin Ke LmasSe Honto Pee Jugnu Raksh Karty Hain
Tumhare Khuwab Ka Rasta Meri Neendo Se Milta Hai
To DiL Aabad Hota Hai
Meri Har Jhak Silta Hai
Tumhare Naam Ka Taara
Meri Raaton Main Khilta Hai ….!

No comments:

Post a Comment