Mohabbat Ka Nagar Abaad Rakhna
Mohabbat Ka Nagar Abaad Rakhna,
Bilaa Khauf-o-hatar Abaad Rakhna,
Mohabbat Mein Koi Asaan Nahin,
Wafaa Ki Reh-guzar Abaaad Rakhna,
Tum Apni Jagti Ankhon Mein Jaana,
Koi Khawab-e-seher Abaad Rakhna,
Udaasi Keh Rahi Hai Sheher-e-jaan Ki,
Hamare Baam-o-dar Abaad Rakhna,
Kisi Ki Yaad Mein Din Raat Yaawar,
Deyaar-e-chashm-e-tar Abad Rakhna..
No comments:
Post a Comment