Tum mere dard bhi, gham bhi, aalam bhi tum
Tum mera chain ho jana, mera araam bhi tum
Kamyaabi ko nahin hum ne tumhen chahaa hai
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum
Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum
Kiya zaroorat hai mujhe dard ke me'khaanon ki
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum
Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho
Aik din khul ke pukaaro ge mera naam bhi tum
Ye seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi
Yahan seyaad bhi tum ho, to teh'daam bhi tum
Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag
Sach to ye hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum
Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai
Meri furssat bhi tum hi aur mera har kaam bhi tum...!
No comments:
Post a Comment