Friday, 11 September 2015

Hum Toh Khush The Ki Chalo Dil Ka Junoon Kuchh Kam Hai


Hum Toh Khush The Ki Chalo Dil Ka Junoon Kuch Kam Hai,
Ab Jo Aaraam Bahut Hai Toh Sukoon Kuchh Kam Hai.
Rang-E-Girya Ne Dikhayi Nahin Agli Si Bahaar,
Ab Ke Lagta Hai Ki Aamezish-E-Khoon Kuch Kam Hai.
Ab Tera Hijr Musalsal Hai Toh Ye Bhed Khula,
Ghum-E-Dil Se Ghum-E-Duniya Ka Fusoon Kuch Kam Hai.
Uss Ne Dukh Saare Zamaane Ka Mujhe Bakhs Diya,
Phir Bhi Laalach Ka Taqaaza Hai Kahun Kuch Kam Hai.
Raah-E-Duniya Se Nahin Dil Ki Guzargaah Se Aa,
Faasla Garche Zada Hai Pe Yun Kuch Kam Hai.
Tune Dekha Hi Nahin Mujh Ko Bhale Waqton Mein,
Ye Kharaabi Ki Main Jis Haal Mein Hun Kuch Kam Hai.
Aag Hi Aag Mere Qarya-E-Tann Mein Hai ‘Faraz

Phir Bhi Lagta Hai Abhi Soz-E-Daroon Kuch Kam Hai. !!

No comments:

Post a Comment