Wednesday, 16 September 2015

Ek JAAM ulfat k Naam


Ek JAAM ulfat k Naam, Ek JAAM mohabat k Naam, Ek JAAM wafa k Naam, Puri BOTAL Bewafa k Naam, . . Aur Pura THEKA doston k Naam...!!

Kuch to Majboori hogi USKI

Kuch to Majboori hogi USKI warna Yu hi "ladkiya Bewafa

NAHI Hoti".

Kitni Saada Kitni Pyari

Kitni Saada
Kitni Pyari
Kaanch Ki Choori Jesi Larki
College KE Kamrey Mein Bethi
Janey Kya Kuch Soch Rahi Thi
Main Bhi Uss KE Pas He Betha
Us Ko Ghour Se Dekh Raha Tha
Kiya Qissa Hai?
Main Ne Pocha?
Uss Ki Ankhein Bheeg Gaein
Dheemi Si Awaaz Mein Boli
Dekho !!
:Choori Toot Gai:…!

Dukh Fasaana Nahin Ki Tujh Se Kahein

Dukh Fasaana Nahin Ki Tujh Se Kahein,
Dil Bhi Mana Nahin Ki Tujh Se Kahein.
Aaj Tak Apni Bekali Ka Sabab,
Khud Bhi Jana Nahin Ki Tujh Se Kahein.
Be’Tarah Haal-E-Dil Hai Aur Tujh Se,
Dostana Nahin Ki Tujh Se Kahein.
Ek Tu Haraf-E-Aashna Tha Magar,
Ab Aamana Nahin Ki Tujh Se Kahein.
Qaasida Hum Faqeer Logon Ka,
Ek Thikana Nahin Ki Tujh Se Kahein.
Aye Khuda Dard-E-Dil Hai Bakhshish-E-Dost,
Aab-O-Daana Nahin Ki Tujh Se Kahein.
Ab Toh Apna Bhi Uss Gali Mein ‘Faraz
Aana Jana Nahin Ki Tujh Se 
Kahein. !!

Jab Bhi Dil Khol Ke Roye Honge

Jab Bhi Dil Khol Ke Roye Honge,

Log Aaraam Se Soye Honge.
Baaz Aukaat Ba-Majboori-E-Dil,

Hum Toh Kya Aap Bhi Roye Honge.
Subah Tak Dast-E-Saba Ne Kya Kya,

Phool Kaanton Mein Piroye Honge.
Woh Safeene Jinhe Toofan Na Mile,

Na-Khudaaon Ne Duboye Honge.
Raat Bhar Hanste Hue Taaron Ne,

Un Ke Aariz Bhi Bhigoye Honge.
Kya Ajab Hai Woh Mile Bhi Hon ‘Faraz

Hum Kisi Dhyaan Mein Khoye Honge. !!

Zindagi Se Yehi Gila Hai Mujhe

Zindagi Se Yehi Gila Hai Mujhe

Too Bari Dair Se Mila Hai Mujhe

Too Mohabbat Se Koi Chaal To Chal,

Haar Jane Ka Hosla Hai Mujhe..

Dil Dharakta Nahi Tapakta Hai,

Kal Jo Khawahish Thi Aabla Hai Mujhe..

Humsafar Chahiye Hajoom Nahi,

Ek Musafir Bhi Qafla Hai Mujhe..

Kohkan Ho Ke Qais Ho Ke FARAZ..

Sab Mein Ek Shakhs Hi Mila Hai Mujhe...!


Meri Tanhai Mein Mujh Se Guftagu Karta Hai Kon



Meri Tanhai Mein Mujh Se Guftagu Karta Hai Kon, 
TU Nahi Hota To Meri Justaju Karta Hai Kon, 

Kis Ka Khanjar Hai Jo Kar Deta Hai Seene Ko Do Neem, 
Phir Pashemaani Mein Zakhm-e-Dil Rafu Karta Hai Kon,

Is Kharaabe Mein Bagoola Si Phiray Hai Kisi Ki Yaad, 
Is Dayaar-e-Raftagaan Mein Haao-Hu Karta Hai Kon, 

Khauf Kis Ka Hai K Apnay Aap Se Chhupta Phiron, 
Nagahaan Phir Mujh Ko Meray Ru-Ba-Ru Karta Hai Kon,

Konsa Mausam Chura Leta Hai Ghunchoon Ki Chatak, 
Naghma Peraaon Ko Surma Dar Gulu Karta Hai Kon, 

Kon Pee Jaata Hai Aakhir Mere Hissay Ki Sharaab, 
Main Nahi Hota To Phir Khaali Sabu Karta Hai Kon,

Tuesday, 15 September 2015

Dekh Zindagi Is Tarha Na Rula

Dekh Zindagi Is Tarha Na Rula Mujh Ko

Ham Khafa Hue To, Chorr Jayn Ge Tujhe

Usay Keh Do

Usay Keh Do Wo Kisi Aur Se Mohabbat Ka Na Sochay

ik Main He Kafi Hon Usay Umar Bhar Chahne K Liye

Jab Tak Main Zinda Hon

Jab Tak Mian Zinda Hon Mere Ho K Jee Lo Na Tum

Kuch He Tu Din Ki Bat Hai Phir Apni Marzi KaRLena

Ankho’n Mein Ayaa Ashq Thehra Zara Rahay


Ankho’n Mein Ayaa Ashq Thehra Zara Rahay….

Zouq-E-Janoon-O-ishq Ki Bhi intaha Rahay….


Sunday, 13 September 2015

Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhare Khat

Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhare Khat;
Aur Mil Gayi Khushi To Uchhale Tumhaare Khat;

Sab Choodiyan Tumhari Samandar Ko Saunp Dee;
Aur Kar Diye Hawa Ke Hawale Tumhare Khat;

Mere Lahoo Mein Goonj Raha Hai Har Ek Lafz;
Main Ne Ragon Ke Dasht Mein Paale Tumhare Khat;

Yun To Hain Be-Shumar Wafa Kee Nishaniyan;
Lekin Har Ek Shay Se Nirale Tumhare Khat;

Jaise Ho Umar Bhar Ka Asasa Gareeb Ka;
Kuch Is Tarah Se Main Ne Sambhale Tumhare Khat;

Ahal-e-Hunar Ko Mujhe Pe ‘Wasi’ Aitraz Hai;
Main Ne Jo Apne Sher Mein Dhaale Tumhare Khat;

Parwah Mujhe Nahi Hai Kisi Chaand Kee ‘Wasi’;
Zulmat Ke Dasht Mein Hain Ujaale Tumhare Khat!

Tum mere dard bhi, gham bhi, aalam bhi tum

Tum mere dard bhi, gham bhi, aalam bhi tum

Tum mera chain ho jana, mera araam bhi tum

Kamyaabi ko nahin hum ne tumhen chahaa hai 

Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum

Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho

Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum

Kiya zaroorat hai mujhe dard ke me'khaanon ki

Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum

Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho

Aik din khul ke pukaaro ge mera naam bhi tum

Ye seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi

Yahan seyaad bhi tum ho, to teh'daam bhi tum

Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag

Sach to ye hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum

Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai

Meri furssat bhi tum hi aur mera har kaam bhi tum...!


Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho..
Najane Phir Wo Mera Ghumgusar Ho K Na Ho..
Yehi Bohat Hai K Ek Shakhs Chain Pa Jaye..
Bhale Darkht Buhat Saya Dar Ho K Na Ho..
Isi Gumaan Ne Kbhi Lotne Diya Na Mujhe..
Najane Usko Mera Intzar Ho K Na Ho..
Magr Ye Ty Hai K Main Uske Gham Men Rehta Hun..
Mere Liye Wo Bhale Beqrar Ho K Na Ho..
Main Dhop Ban Nhi Sakta ‘WASI’ Kisi K Liye..
Mere Liye Koi Abr-E-Bahar Ho K Na Ho..

Sochta Hon Keh Usay Neend Bhi Aati Hogi

Sochta Hon Keh Usay Neend Bhi Aati Hogi

Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali

Apni Tasveer Se Kia Aankh Milati Hogi?

Is Zameen Pe Bhi Hai Selaab Meray Ashkon Se

Mere Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi

Shaam Hote Hi Wo Chokhat Pe Jala Kar Shamain

Apni Palkon Pe Kaii Khuwaab Sulati Hogi

Us Ne Silwa Bhi Liye Hongy Siya Rang Libaas

Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi

Hoti Hogi Mere Bosay Ki Talab Main Pagal

Jab Bhi Zulfon Main Koi Phool Sajati Hogi

Mere Tareek Zamano Se Nikalnay Wali

Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi

Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi

Jonhi Tasveer Ka Kona Wo Jalati Hogi

Roop De Kar Mujhe Us Main Kisi Shehzaday Ka

Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi..!



Saturday, 12 September 2015

Itne Bhi Tu Wo Khafa Nahi Thay


Itne Bhi Tu Wo Khafa Nahi Thay, 
Jaise Kabi Aashna Nahi Thay. 
Maana K Baham Kahan Thay Aise, 
Par Youn Bhi Juda Juda Nahi Thay. 
Thi Jitni Basat Ki Purastish, 
Tum Bhi Tu Wo Koi Khuda Nahi Thay, 
Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir. 
Hum Tere Nahi Thay Ja Nahi Thay. 
Kis Kis Se Nibhate Rafaqat, 
Hum Log K Bewafa Nahi Thay. 
Rukhsat Howa Wo Tu Main Ne Dekha, 
Phool Itne Bhi Khush Numa Nahi Thay. 
Thay Youn Tu Hum Us Ki Anjuman Me, 
Koi Humain Dekhta Nahi Thay, 
Jab Us Ko Tha MaaaN Khud Pe Kya Kya. 
Tab Hum Bhi Faraz Kya Nahi Thay....! 

Hue Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu

Hue Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu..

Kahan Gaya Hai Mere Sheher K Musafir Tu.,

Bahut Udas Hai ik Shakhs Tere Jane Se,.

Jo Ho Sake To Chala Aa Kisi Ki Khatir Tu.,

Meri Misaal Ki ik Nakhl-e-Khushk Sehra Hoon,

Tera Khayal Ki Shakh-E-Chaman Ka Tahir Tu,.

Main Janta Hoon K Duniya Tujhe Badal De Gi

Main Manta Hoon K Aaisa Nahi Bazahir Tu

Hansi Khushi Se Bichar Ja Agar Bicharna Hai

Ye Har Maqaam Pe Kia Sochta Hai Aakhir Tu

Faraz Tu Ne Us Se Mushkilon Mein Daal Dia

Zamana Sahib-E-Zar Aur Sirf Shaair Tu...!


Chahat Aur Wafa K


Chahat Aur Wafa K

Sare Pairron Par

Abhi Purane Muasam Hain

Is Se Pahle Keh..

Ye Muasam..

Apni Apni Majboori Ki..

Zadd Mein Aa Kar..

Apna Apna Aap Luta Kar..

Rukhsat Hon..

TUM LOT AAO...!

Waqat Ki Tandd-O-Taiz



Waqat Ki Tandd-O-Taiz

Hawa Ki Zadd Mein Aa Kar..

Beet Chuke Raston Par..

Lot K Aane Wale..

Tou Kaya Jane.?

Raston K Muasam Hote Hain..

Ye Bhi Apni Apni Rut Mein..

Apni Apni Simat Badlte Rahte Hain......!

Tere Aane Ki Umeed


Tere Aane Ki Umeed

Likhi Hai Sari Deewaron Par

Rasta Daikh Rahi Hain,

Khali Galiyan,

Toote Darwaze.

Aur Ghar.

Tou Kaya Jane .?

Hum Par Kaya Khuch.

Beet Gaya Hai Tere Badd.

Toone Kab Daikhi Hain .?

Khali Galiyan.

Toote Darwaze...!


Dekh Lena K Kisi Dukh Ki Kahani To Nahi


Dekh Lena K Kisi Dukh Ki Kahani To Nahi,

Ye Jo Aanso Hain Kahein Us Ki Nishani To Nahi,

Janta Hon K Sarabon Mein Ghira Hon Yaro,

Door Parta Hon Magar Phir Bhi K Pani To Nahi,

Dekh Rahi Hai Jo Mujhe Saf Teri Aankhon Mein,

Too Ne Ye Bat Kahein Mujh Se Chupani To Nahi,

Jis Tarha Shehr Se Nikla Hon Main Beemar Tera,

Ye Ujarna Hai Koi Naqalmakani To Nahi,

Bach Gai Hai Tere Matam Ko Jo Ab Qismat Se,

Hum Ne Ye Saf Dil-E-Sahra Se Uthani To Nahi,

Us Ne Chana Hai Mujhe Apne Khuda Se Barh Kar

Main Ne Ye Bat Zamane Ko Batani To Nahi,

Ye Jo Har Morr Pe Aa Milti Hai Mujh Se Farhat,

Badnaseebi Bhi Kahein Meri Deewani To Nahi.........!

Tumhara Pyaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai


Tumhara Pyaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Koi Hisaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

Bichartay Waqt Jo Tum Sonp Kar Gaye Thay Mujhe
Wo Intezaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

TU Khud Hee Jaanay Kaheen Door Kho Gaya Hai Magar
Teri Pukaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

Mein Jub Bhi Nikla Mere Paon Chhaid Daalay Ga
Jo Khaar Zaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

Mein Ab Bhi Girtay Howay Paanion Ki Qaid Mein Hun
Ik Aabshaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

Koi Gumaan Mujhe Tum Se Door Kaisay Karay ?
Ke Aitbaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai...!

Tujh Se Bichda Tou Kidher Jaonga


Tujh Se Bichda Tou Kidher Jaonga ?
Mein Tou Be-Chaini Se Mar Jaonga

Mein Tou Aisay Nahi Jaanay Waala
Chaand Doobay Ga Tou Ghar Jaonga

Moutyon Se Bhara Bartan Hun Mein
Toot Jaonga, Bikhar Jaonga

Mein Tou Sehma Howa Sannata Hun
Apni Awaaz Se Dar Jaonga

Mein Agar Koi Samandar Bhi Hun
Ik Tere Dard Se Bhar Jaonga

Waqt Ke Rath Se Mein “Farhat Abbas”
Kaheen Chup Chaap Bikhar Jaonga...!

Saanson Ki Hararat Se Pighal Jaanay Ka Mausam


Saanson Ki Hararat Se Pighal Jaanay Ka Mausam
Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaanay Ka Mausam

Ham Ko Nahi Maaloom Tha Ishq Ka Aaghaaz
Yaadon Mein Kaheen Door Nikal Jaanay Ka Mausam

Lagta Hai Ke Chehre Pe Tere Theher Gaya Hai
Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaanay Ka Mausam

Ay Sheher Tasalli Tere Mashkoor Hain Ham
Aaya Hee Nahi Dil Ke Sambhal Jaanay Ka Mausam

Ye Sheher-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ke Is Per
Barsaat Mein Bhee Rehta Hai Thal Jaanay Ka Mausam

Chehre Pe Agarche Hai Mere Subaah Ka Ujaala
Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaanay Ka Mausam...!

Be-Qaraari Ke Waar Ke Dar Se


Be-Qaraari Ke Waar Ke Dar Se
Bin Bulaaye Nikal Pade Ghar Se

Ek Tou Kuch Dasht Yaad Aatay Hain
Aur Wo Abar Jo Bohat Barsay

Koi Qaabil Nahi Bharosay Ke
Koi Mehfooz Hee Nahi Shar Se

Loog Tarsay Hain Paanion Ke Lye
Ham Magar Teri Pyaas Ko Tarsay

Aap Ko Yaad Hai Ke Hum Ek Din ?
Lout Aaye Thay Aap Ke Dar Se...!

Kahan Dil Qaid Se Chhoota Howa Hai


Kahan Dil Qaid Se Chhoota Howa Hai ?
Abhi Tak Sheher Se Rootha Howa Hai

Hum Kaisay Kahain Is Dil Ko Sacha ?
Hamaaray Saamnay Jhoota Howa Hai

Ksi Ka Kuch Nahi Yahan Per….
Ye Sab Saamaan Loota Howa Hai

Tumhaaray Dil Mein Meri Chaahaton Ka
Koi Tou Beej Sa Phoota Howa Hai

Kisi Ke Naam Lag Jaayein Balaa Se
Ye Dil Phele Se Hee Toota Howa Hai...!

Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulain Tou Laut Aana

Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulain Tou Laut Aana
Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagon Ke Azaab Aain Tou Laut Aana

Abhi Nayi Wadiyoon,Naye Manzaroon Mein Reh Lo Magar Meri Jaan
Yeh Saray Ik Aik Kar Kay Jab Tum Ko Choor Jain Tou Laut Aana

Jo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoon Ko Lautay Hain
Agar Woh Panchi Kubhi Koi Daastan Sunain Tou Laut Ana

Naye Zamaanon Ka Kurb Orhay Zaeef Lamhay, Nidhaal Yaadain
Tumhaaray Khwaabon Ke Band Kamron Mein Laut Aain Tou Laut Aana
Mein Roz Younhi Hawa Pay Likh Likh Kar Us Ki Janib Ye Bhejta Hoon
Kay Achay Mausam Agar Paharoon Pe Muskurain Tou Laut Aana

Agar Andheron Mein Choor Kar Tum Ko Bhool Jayein Tumharay Sathi
Aur Apni Khatir Hi Apnay Apnay Diye Jalain Tou Laut Aana

Meri Woh Batain TU Jin Pay Hansta Tha Khilkhila Kar
Bicharnay Walay Meri Woh Batain Kabhi Rulain Tou Laut Aana…..!


Friday, 11 September 2015

Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho

Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho
“Ik Baar Kaho Tum Mere Ho”
Mujhe Tum Bin Kuch Dikhaayi Na De
Kiun Itnay Ghoor Andheray Ho ?
Mein Panchi Pyaar Ke Deson Ki
Tum Mere Rain Basairay Ho
Mein Maal-O-Manaal Mohabbat Ka
Tum Dikho Chor Lutairay Ho
Kuch Bolo Ya Aazaad Karo
Kiyn Khamooshi Se Ghairay Ho ?