Tuesday, 25 August 2015

Suna Hai
















Suna Hai
Tumharey haathon se Chhot Kar
Koi Kaanch Toota Hai
Kirchi Kirchi Wo Kaanch
Bhikra Pada Hai Rah May
Tehro
Ruko Zara
Mat Chhoona Un Kirchiyun Ko
Ungliyan Nazuk Hain
Lahu Lahu Ho Jayen gi
Suno Jaanan
Kaanch Ke Tukron Ko
Samaitney ke Waastey
Meray Haath Le Jao Tum...!

KALAM THi HATH ME,LIKHNA SIKHAYA APNE





















KALAM THi HATH ME,LIKHNA SIKHAYA APNE;
TAKAT THi HATH ME ,HOSLA DiLAYA AAPNE;
MANZIL THI SAMNE ,RASTA DIKHAYA APNE;
HUM TO SIRF DOST THE,ASHIQ BANAYA APNE

Friday, 21 August 2015

Yeh Dil Kisi BHi Tarah Sham-E-Gham Guzaar To De



















Yeh Dil Kisi BHi Tarah Sham-E-Gham Guzaar To De,
Phir Is Ke Baad Wo Umaron Ka intizar To De,
Hawa-E-Mousam-E-Gull Jnfiza Hai Apni Jaga,
Magr Koi Khabr-E-Yar-E-Khush Diyar To De,
Humein Bhi Zid Hai Kaha Umr Bhaar Nibhane Ki,
Magr Wo Trk-E-Taluq Ka ikhtiyar To De,
Bja Ke Dard Sihri Hai Yeh Zindagi Karna,
Magr Yeh Baar-E-Amanat Koi Utar To De,
Tera He Zikar Kary Bus Tujhe He Yaad Kary,
Yeh Fursat-E-Bhi Kabhi Fikr-E-Ruzgaar To De,
Tere Karam Bhi Mujhe Yad Hain Magr Mera Dil,
Jo Qaraz Aihl-E-Zamana Ke Hain Utar To De,
Falak Se Hum Bhi Kary Zulm-E-Naraawa Ke Gille,
Ba-saans Lene Ki Muhlat Shitam Shayr To De,
Kamran Jann Se Guzarna To Koi Bat Nahi,
Magr Aub is Ki Ejazat Bhi Jhasm-E-Yaar To De….!

Na Chair Qissa E Ulfat Bari Lambi Kahani Hai


Na Chair Qissa E Ulfat Bari Lambi Kahani Hai..
Mein Zindagi Se Nahi Hara Kisi Ki Bat Mani Hai..
Badi Lambi Kahani Hai, Tuhmhey Leikin Sunani Hai
Tera Ghum Jaan Leva Par Teri Yadeein Suhani Hain
Ghamoon Ko Chor Hum Deitey,Sakoon Ko Tham Hi Leitey
Ghamoon Sey Kya Karein Leikin, Bari Yari Purani Hai
Zameen Ko Cheera Chahey, Hawa Ko Thamna Chahey
Badi Pagal Sahi Leikin, Yahi Yaro Jawani Hai
Ae Gham Tu Door Hi Rehna, Samandar Ansoon Ka Hai
Baha Le Jaye Na Tujh Ko, Ye Lehri Bhi Dewani Hain...!

Guftagoo Achi Lagi Zaok-E-Nazar Acha Laga





















Guftagoo Achi Lagi Zaok-E-Nazar Acha Laga
MuddatoN Ke Baad Koi Ham'Safar Acha Laga
Har Tarha Ki Be'Sar-O-Samaniyon Ke Ba'Wajood
Aaj Wo Aaya To Mujh Ko Apna Ghar Acha Laga

Kya Bura Tha Gar Para Rehta Teri Dehleez Par
Tu Hi Batla Kya Tujhe Wo Dar-Ba-Dar Acha Laga
Kon Maqtal ME Na Pohncha Kon Zaalim Tha Jise
Tere Qatil Se Zyada Apna Sar Acha Laga
Ham Bhi Qayel HaiN Wafa-E-Ustawari Ke Magar
Koi Pooche Kon Kis Ko Um'r Bhar Acha Laga
Meer ki Manind Gar'che Zeest Karta Tha Faraz
Ham Ko Wo Aashufta'khoo Shayer Mager Acha Laga...!

Kabhi Mujhe Dhup Lagne Na Di
















Ek Pedh Jisne Kabhi Mujhe Dhup Lagne Na Di,
Apne Aanchal Mein Chupa Ke Rakha Nazar Kisi Ki Lagne Na Di
Yaad Ate Hai Bachpan Ke Din Jab Tu Mujhe Khilati Thi,
Har Bar Rone Par Tu Hi Mujhe Hasati Thi
Achi Neend Ke Liye Naajane Kaha Kaha
Se Nayi Loria Aur Kahaniya Lati Thi,
Ro Padhta Hai Yeh Dil Yad Karke Woh Din
Jab Haatho Se Apne Khana Khilati Thi
Teri Ungli Pakad Ke Maine Chalna Sikha,
Teri Hi Aankho Se Yeh Sansar Maine Dekha.
Bhagwan Khud Na Aa Ska Is Liye
Shayad Tujhe Mere Liye Bhej Diya,
Nhi To Woh Bhi To Hai Yaha Jinhe Lawaris Hi Sansar Mein Chod Diya.
Aaj Fer Teri God Mein Sone Ko Dil Kare,
Tere Hatho Se Khane Ko Dil Bekrar Hai
Yad Aa Gaye Woh Sunhere Din,
Dil Aaj Bhi Us Samay Mein Jane Ko Bekrar Hai
Bas Ab Yadein Hi Reh Gyi Yaad Karne Ko,
Bachpan Lot Ke To Aa Nhi Sakta,
Tujhe Kitna Chata Hu Maa
Tujhe Kabhi Yeh Bta Nhi Sajkta
Mera Har Saans Tera Ehsan Hai..
Jab Chahe Ise Le Lena,
Chod Ke Na Jana Kabii Chahe
Meri Sanse Bhi Mujhse Le Lena...!

Monday, 3 August 2015

Wo ik Masoom Si Chahat





















Wo ik Masoom Si Chahat
Wo ik Benaam Si Ulfat
Wo Meri Zaat Ka Hissa
Wo Meri Zeest Ka Qissa
Mjhy Mehsoos Hota Hai
Wo Mere Pas Hai Aub Bhe
Wo Jab Jab Yad Ata Hay
Nigahoun Me Samata Hai
Zuban Khamosh Hoti Hai
Magar Ye Ankh Roti Hai
Mein Khud Se Puch Lete Hun
Usay Kya Pyar Hai Mujh Se
Jawaban Soch Leti Hun
Usay Bhe Pyar Hai SHAYAD
Isi SHAYAD Se Wabsta Hai
Aub To Her Khushi Meri
Yahi Ek Lafz SHAYAD Ban Gya Hai Zindagi Meri...!


KHABHI JO DEKHNI HO MUHABBAT















KHABHI JO DEKHNI HO MUHABBAT
TU MERI CHAHHATON MAI AJANA
KHABHI JO KARNI HO MUJSE BATEN
TU MERI YADOON MAI AJANA
KHABHI JO CHAHO MEHSOOS KARNA PYAR MERA
TU MERI ANKHON MAI AJANA
KHABHI JO SUNNI HO AWAZ MERE DIL KI
TU MERI DHARKANO MAI AJANA
KHABHI JO PAO KHUD KO AKELA SA
TU MERI RAHON MAI AJANA
KHABHI JO SOO NA PAO MERI YADON MAI
TU MERI RATON MAI AJANA
KHABHI JO GHABRAO IRD GIRD K MAUSAM SE
TU MERI BAHON MAI AJANA….!

Sunday, 2 August 2015

Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki Aada Lagte Ho





















Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki Aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho To Ek Baad- E-Saba Lagte Ho
Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer- e-Wafa Lagte Ho
Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho
Kis Taraf Jao Ge Zulfon K Ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho
Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho
Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho....!

Sard Mousamon Ke Dukh


















Sard Mousamon Ke Dukh
Kitney Sard Hotey Hain
Koi Aah
Koi Faryad
Koi Shikwah
Koi Shikayat
Kuch Bhi To Nahi Hota in Mein
in Mousamon Ke Baasi Shajar Bhi
Be-Libas Rehtay Hain
Pattay Bhi Na Janey
Fanna Ki Kin Gehrayun May
Be-Awaz Gir Jatey Hain
Phool Na Janey Kiyun Bin Khillay Hi
Be-Naam Si Mout Mar Jatey Hain
Sard Mousamon Ki Hawain
Ajeeb Rang May Nooha Kanan Hoti Hain
Jaise Jisi Jawan Marg Pe
Kaheen Chupke Chupke
Kisi Koney May Aanchal Lapetay
Koi Ujri Suhagan
Hichkiyun May Sisakti Ho
Aisa Hi Aik Sard Mousam
To Meray Andar Bhi Rehta Hai
Janey Kiyun isqadr Tanha Sa Lagta Hai
Yaadon Ke Sub Zard Pattey Jhar Chuke Hain
Sard Mousamon Ke Sub Dukh
Meray Andar Utar Chukey Hain....!!!!